Friday, November 18, 2016

शरीर और जोड़ो के दर्द से छुटकारा

जोड़ो का दर्द किसी भी कारण हो सकता है जैसे के बढती उम्र, जोड़ो में तरल की कमी तथा किसी प्रकार की चोट |आज हम आपके लिए एक ऐसा नुख्सा लेकर आये है जिस के इस्तेमाल से आपके जोड़ो का दर्द मानो छूमंतर हो जायेगा

आवश्यक सामग्री

5-6 गाजर
½ चमच काली मिर्च
2 cm ताजा अदरक का टुकड़ा
½ चम्च हल्दी
बनाने की विधि
गाजर को अच्छी तरह से साफ़ कर लेना है और काट लेना है | उसके बाद अदरक हल्दी और काली मिर्च का पाउडर बना लेना है और इन सब को इक साथ ब्लेंडर में डाल कर ब्लेंड कर लेना है जब तक के यह अच्छी तरह से मिक्स न हो जाये सम्पूर्ण मिश्रण बन जाने के बाद रोजाना तीन बार 50 से 60 ml सेवन करना है लेकिन ध्यान रखे के इस मिश्रण का सेवन खाना खाने के आधा घंटा पहले करे | अगर यह मिश्रण ज्यादा गाढ़ा हो जाये तो आप इसमें जरूरत अनुसार पानी मिला सकते हो |आप को जल्द ही फर्क महसूस होगा |

Nibu + Namak + Kalimirch ka kamal

नमक, काली मिर्च और नींबू के इस प्रयोग से इन 7 बिमारियों को किसी भी दवा से बेहतर ठीक कर सकते हैं..!! 
मौसम के बदलने पर लोग अक्सर बीमार पड़ जाते है. बुखार व खांसी हो जाती है,जिसकी वजह से बार-बार हॉस्पिटल के चक्कर लगाने पड़ते है. मानसून आने वाला है ऐसे में कई लोग वेदर चेंज को आसानी से सह नहीं पाते और उनके लिए छोटी से बीमारी बड़ी बिमारी का रूप ले लेती है. इन छोटी-छोटी बीमारी की वजह से आपको हॉस्पिटल के चक्कर न काटना पड़े इसके लिए आप घर में ही घरेलु उपचार कर सकते है. तो बताते  है नमक,नींबू और काली मिर्च के मिश्रण के कुछ चमत्कारी  फायदे –
Salt, Pepper and Lemon / नमक, काली मिर्च और नींबू
नमक (1 छोटा चम्‍मच), काली मिर्च (½ छोटा चम्‍मच) और नींबू (कुछ बूंद) के रस से 7 तरह की बीमारियों को ठीक कर सकते हैं । जी हां, आपकी जानकारी के लिये हम नीचे बताएंगे कि यह कौन कौन सी बीमारियों को ठीक कर सकता है।

*वजन घटाए

एक चौथाई छोटा चमच पीसी हुए काली मिर्च , 2 बड़े चमच ताज़ा निम्बू का रस , 1 बड़ा चमच शहद लेकर एक ग्लास पानी में मिला लें |
रोज सुबह खाली पेट इस मिश्रण को लेने से शरीर का मैटाबॉलिज्‍म तेज होता है और वजन घटाने में मदद मिलती है।

*दांत दर्द में राहत

1/2 छोटा चमच पीसी हुई काली मिर्च, 1/2 छोटा चमच लौंग का तेल ले कर मिला लें | इस मिश्रण को गरम पानी में मिला कर कुल्‍ला कीजिये, आपका दांत दर्द खतम हो जाएगा।

*.फ्लू भगाए

अगर इस मिश्रण को शहद के साथ खाएं तो फ्लू पैदा करने वाले वायरस और रोगाणुओं की छुट्टी हो जाती है।

*.मतली कम कर देता है

एक बड़ा चमच नीम्बू का रस , एक छोटा चमच काली मिर्च ले कर एक गिलास गरम पानी में मिला घूंट घूंट कर के पिए |ये मिश्रण आपके पेट में बढ़े हुए एसिड को कम कर देता हैं, इसलिये आपको जब भी मतली या एसिडिटी का एहसास हो तो, इसे लेना ना भूलें।

*.बंद नाक को खोले

इन तीनों का मिश्रण अगर गरम पानी के साथ लिया जाए तो यह शरीर में गर्मी का उत्पादन कर के नाक की नली में हुई सूजन को कम करेगा और बंद नाक को खोलेगा।

*.गले के दर्द में राहत दिलाए

इस मिश्रण में एंटीबैक्‍टीरियल गुण होते हैं जो गले में पनप रहे बैक्‍टीरिया का नाश कर के गले के दर्द से राहत दिलाता है। एक बड़ा चमच ताज़ा निम्बू का रस, 1/2 छोटा चमच पिसी हुए काली मिर्च और एक छोटा चमच उच्च गुणवत्ता वाला नमक लेकर एक गिलास गरम पानी में मिला लें इस मिश्रण से दिन में कई बार कुल्ला करें इस से आपको गले के दर्द और खांसी से राहत मिलेगी|

*.गॉलस्‍टोन ठीक करे

यदी इन तीनों मिश्रण के साथ जैतून का तेल भी मिला लिया जाए और फिर इसका सेवन किया जाए तो यह मिश्रण बड़ा ही शक्तिशाली बन जाता है। तब यह मिश्रण गॉल ब्‍लैडर में इकत्रित स्‍टोन्‍स को घुलने में मदद करता है। लेकिन इसको नियमित लेना होगा।


Warning: This site provides general information about your health. for more information and treatments please contact your doctor.

Qabz ki Alamaat, Qabz ki Waja or Ilaj

Qabz se murad woh surat hal hoti hai jis mein khushk, sakht ajabat maamool se hat kar, kam taadad mein ya be qaidgi se dushwari, tkleef aur baaz auqaat dard ke sath ho. Aam tor par isay be zarar samjha jata hai lekin is baat ka imkan hota hai keh yeh koi poshidah kharabi ki alamat ho. Khas tor par in afrad men jo 40 saal se ziadha ke ho chuke hain.


Qabz ki Wajohat(Constipation Causes)

Qabz ki wajoohat amooman darj zel ho skti hain.
1. Hormone ke akhraj mein tbdeelyan jaisa keh hamal ke doran hoti hain.

2. Thyhayride ghizah ka zaroorat se kam fayal hona (Hypothyroidism)

3. Charb dar gosht dairy masnuaat buhat ziadah istemaal karne khanon mein sirkah, mirch, namak, masalah jat aur aluminum ki ziadti se bhi ajabat mein dushwari ho skti hai.

4. Khorak mein reshe, bhoosi chilke (fiber ki mqdar ka kam hona, ghair mutahrik tarz e zindagi, bawaseer mein shigaf (anal fissure) iron ki tablets ka istemaal.

5. Baaz ghizaon ki kami ya ziadti se bhi qabz ho skta hai, maslan kum pani pina ya siyal ghizaon ka kam istemaal, vitamin B6, B5 potassium, magnesium, aur jast ki kami se bhi qabz ki shikayat ho skti hai.

6. Agar ghiza ke istemaal mein koi ghalti nahi ki ja rahi hai to qabz ka sabab buhat tezi se nawala halaq se utarna, warzish se ji churana, tention, dimaghi uljhan, pareshani mayoosi, antibiotic dawaon ka istemaal qabz kusha dawaon ka aadi ho jana ya doctori noskhe ke be ghair farokht hone wali baaz makhsoos dawayein maslan khansi ke syrup se bhi qabz ho skta hai.

Qabz ki Alamaat (Constipation Symptoms)

1. Thakawat mehsoos hoti hai.

2. Matli mehsoos hoti hai.

3. Ajabat ke waqt dard

4. Wazan mein kami.

5. Zuban par papri jam jati hai, bhook ur jati hai.

6. Jo log qabz mein mubtila hote hain in mein amooman sar dard ki shikayat hoti hai.

7. Thakawat aur afsurdugi ka ahsaas hota hai aur in mein se beshter alamtein is wajah se samne aati hain keh motalqah fard ajabat na hone ke bais pareshan rehta

Qabz ka Ilaj (Constipation Treatment)
1. Qabz se bachne ya nijat ke liye aap apni ghiza mein desi cheezein ziadah shamil karein jin mein reshe ki mqdar ziadah hoti hai. Maslan badam, khushk injeer khushk khoobani khopre ka chura waghirah.

2. Pani ki mqdar barha dein. Pani kam pine se aantein bhi khushk ho jati hain aur fazle ko aagay ki taraf harkat karne mein dushwari hoti hai.

3. Saaf chane huye sufaid aatay ke bajaye woh aata istemaal karein jis mein bhoosi shamil ho.

4. Fruit aur vegetable ziadah istemaal karein agar mumkin hoto chilka samet kahyein.

5. Qabz torne ki khasoosyat ki hamil jri bootyon mein methi, chini aur marshmallow poday ki jarein amaltas (buck home) aur senna ki pattiyan shamil hain. In jari bootyon mein se har aik qabz kusha hai. Agar in mein se kisi aik ko istemaal karna hoto isay pani mein josh de kar din mein teen bar piyein.

6. Woh chach jis mein acidophilus nami sehat bakhsh jaraseem hote hain is ke istemaal se bhi aantein sehat mand rehti hain aur ajabat maamool ke mutabiq hoti hai.

7. Agar qabz ki shikayat purani ho aur kisi wajah se antibiotic dawayein bhi leni parein to is ke sath vitamin B capsule ka istemaal mufeed rehta hai khas tor par vitamin B se qabz door ho jata hai. Qabz rafa karne ke liye ispaghol ki bhoosi bhi istefada kia ja skta hai. 


  • Dhood, chawal, gosht, fast food aur meetha (cake weghaira)  qabz main achay nahin hotey – qabz k duran inka istemal kam aur phalon aur sabzion ka istemal ziada karen.
  • Sony sy pehle garm doodh mein isbgol ka chlka mila kr pya jye, yeh kbz kusha hota hy
  • Angoor khany sy pruna kbz bhi door hota hy. Yeh kbz kusha or maidy ky lyey nhiat mufeed hein
  • Ginger juice yani adrk ky ark ko naaf ky ird gird mlny sy constipation door hoti hy…maheena bhr istimaal krein or constipation sy saree zindgi ky lyey chutkara hasil krein
  • 5 kishmish doodh mein raat bhr ky lyey bhigo dein subha pehly behgi kishmish khein or phr doodh pein
  • Sonf ko pani ya doodh mein daal kr ubaal lein. Is ko peeny sy chronic constipation bhi khtm ho jayey gi
  • Adha pupeeta nashty sy pehly khany sy kbz door ho jata hy.
  • Anaar khany sy bhi kbz khtm hot hy or maida bhi sahee kam krta hy.
  • Khana pkaty huey us mein adrk zroor dalein , adrk powder ky bjyey taza adrk pees kr dalein. Adrk kbz kusha hy or seht ky lyey niaht mufeed hy. Han ji or khany ki shaan bhi brhata hy.
  • Gobhi qabz khatam karne k liye mofeed hai. Khas tour par agar issy ziatoon k tail maina pakaya jay tu yeh aur bhi ziada mofeed hai.
  • Pani ki kami bhi qabz ka baes ban sakti hai. Iss liye iss baat ko yaqni banaen k pani ki kami na ho. Khas tour par sobah uthte sath hi pani zaroor peeyen.
  • Nashpati, gajar, lobiya aur aaroo qabz yani constipation dur karne k liye mofeed cheezain hain.
  • 10-15 minutes tez walk karna bhi kabz aur maiday ki takalfon k liye faidamand hota hai
  • Rafae hajat k liye aik time muqarar karen aur koshish karen ke uss  time ki pabandi karen. Hajat main jald bazi na karen.
  • Imli qabz (Constipation) aur stomach k liye mofeed hoti hai.

Warning: This site provides general information about your health. for more information and treatments please contact your doctor.