Monday, March 28, 2016

Joint Pain



Joint Pain

Subah bhukhe pet 3-4 akhrot ki giri khane se ghutno ka dard chala jata hai.

Nariyal ki giri khate rahne se ghutno ka dard kam hota hai.

Arandh ke patte aur mahedi pishkar lep karne se ghutno ka dard dur ho jata hai.


6 gm konch ke beejho ko doodh ke sath 14 din tak khane se ghutne ka dard mit jata hai.


Sukhe amlo ko kuth-pishkar 2 guni matra me gudh milakar bade matar ke aakar me goliya banakar rojana 3 goliya pani ke sath lene se ghutno ka dard thik ho jata hai

Cancer Ka Ilaj

Phal Aur Sabzi Se Ilaj

Cancer ya sartan aik nehayat mozi marz hai, cancer ka ilaj duniya bhar ke doctors ke liye aaj bhi aik challenge ki hasiyat rakhta hai. Duniya ke kone kone mein mahereen, doctors aur mohaqqiqen is mozi marz ke ilaj ke liye har mumkin koshish kar chuke hain, lekin abhi tak cancer ka ilaj fori aur sasta tariqa e ilaj dhondhne mein nakaam sabit hoye hain. Ghuzishta aik ashre ke doran cancer ke marz mein bepanha izafa hoa hai. Agharcha mahereen is marz ka koye tasali bakhash ilaj talash karne mein kamyab nahi ho paya, lekin kuch aysi ehtiyati tadabir zaroor hain jin par amal kiya jaye to kafi had tak is marz se khalasi mil sakti hai. Zere nazar thereer mein hum ap ko 18 aysi ghizayon ke bare mein batatein hain, jin ke andar qudrat ne is mozi marz ka muqabla karne ki salahiyat rakhi hai.

1-Band gobhi (Cabbage)
Band Gobhi aik sehat bakhash ghiza hai jo na sirf ap ko mazbot banati hai balke ise dawa samjha jata hai. Is ke andar mojud Indole - 3- carbinol, khawateen ke aik khas harmon estrogen ka muqabla karti hai. Ye harmon khawateen ke andar chati ke sartan ka sabab nabta hai. Indole -3-carbinol estrogen ke nuqsandha asraat ko mufid ijza mein badal deta hai.

2- Phool Gobhi (Cauliflower )
Band gobhi ki tarha phool gobhi ka shumar bhi sehat ke leye mufid sabziyon mein hota hai. Ye sabzi bhi cancer jese muzi marz ka muqabla karne ki salahiyat rakhti hai. Phool gobhi ko masane, chati, anton, ghudod aur ovary ke sartan ka muqabla karne wali ghiza qarar deya jata hai.

3- Mushroom ya khombhi
Mushroom ko vitamin B aur iron ka bhetareen zariya qarar deya jaya hai. Ye diabetes, allergy aur cholesterol ka muqabla karta hai, rasoli se tahafoz deta hai, elawa izen ye cancer se nematne ke sath sath dorane ilaj side affects se muqabla karne ki salahiyat rakhta hai.

4 - Broccoli (gobhi ki aik kisim)
Salforain nami murakab gobhi ya is se milte julti sabziyon mein paya jata hai jo cancer se nematne ke leye intehai mufid hai. Ye muraqkab rasoli ko barhne se rokta hai.

5 - Gajar (Carrot)
Gajar ke andar do ajza beta carotene aur falkarinewl paye jate hain, jo ke cncer ka muqabla karne ki salahiyat rakhte hain, lekin baz teheqiqat ke mutabiq beta carotene cancer ka sabab bhi ban sakta hain lekin ye b=abhi tak hatmi nahi hai. Gajaron ka istemal mukhtalif iqsam ke sartan ka muqabla karta hai jin mein mun, gale, peet, anton, masane, ghodod aur chati ka sartan shamil hai.

6 - Meethe Aallo
Meethe aallo ke andar mujud baz ajza phephron, masane, gurde, gigar aur chti ke sartan ka muqabla karne ki salahiyat rakhte hain.

7 - Chakotra (Grape fruit):
Chakotra amomi tor par diabetes se bachao aur jisim ko tawana rakhne ke hawale se jana jata ha, lekin is ke sath sath ye cancer ka muqabla karne wali ghiza bhi hai. Bari ant ke cancer ko chakotre ke zarye roka jasakte hai. Chakotre ke andar mujod “fluniders” cancer ke khliyon ki afzaish ko ahista kar deti hai. Waze rah eke dorane elaj dawaon ke sath chakotre ka istemal muzir bhi ho sakta ha.

8 - Angoor (Grapes)
Angooron ki cancer ka muqabla karne wali ghiza ke tor par tehqiq ab abtadai marhale mein hai, lekin ye yad rah eke angoor ke bej mein proanthocyanidins nami chemical anton ke sartan, ghudod aur chati ke sartan ka muqabala karne mein madad deta hai.

9 - Tamatar (Tomato)
Tamatar vitamin A, C aur E ke hosol ka bhetareen zarya hai lekin is ke andar cancer ka muqabla karne wala aik juz bhi paya jata hai, jise lycopene khete hain. Ye free radical aur cancer ke khliyon ka muqabla karne mein madad deta hain. Tamatar ke andar mujod vitamin C un khaliyon ko tabah karne ki salahiayt rakhta hai jo agye chal kar cancer ka bais bante hain, elawa azen degar ajza chti ke sartan, ghudod, moun, lablaba aur masane ke cancer se tahafoz farham karte hain.

10 - Cherry and Strawberries
Cherry aur strawberries ke andar mujod ajza bhi cancer cells bilkhosos peet ke sartan, bari ant ke sartan aur chati ke sartan ka muqabla karte hain. In ke andar mujod Ellagic acid jild, masane, phephron aur ghizai nali ke sartan ke khilaf aik mulhik hatiyar hai.

11- Papita (Papaya)
Papite ke andar mujod do murakabat “beta carotene” aur “lycopene” “free radicals” ka muqabla karte hain. Elawa azen aik aur murakab isothiocyanates bhi khaliyon ko cancer se mehfoz rakhta hai. Aik tarha se papita cancer se bachao ka bhetareen phal hai.

12- Naranji aur lemo (Orange and Lemon)
Naranji ke andar limonene nami ajza cancer ka muqabla karne wale khalye peda karte hain. Ye donon chezein free radicals ka muqabla karne ka bhetareen zariya hain.

13 - Alsi ke beej
Alsi ke beej cancer ke khalyon ko peda hone aur barhne se rokhte hain. Ise ghudod ke cancer aur chati ke cancer ka elaj samjha jata hai.

14 - Lehsan(Garlic)
Lehsan peet ke cancer, brai ant, ghizai nail, lablabe, uar chti ke cancer ke khatrat kam karne main muawin sabit ho sakata hai.

15. Haldi (Turmeric)
Haldi ke andar Curcumin paya jata hai jo ke amal e taksed ko rokne wala aik taqat war amil hai. Is ka kaam cancer ki afzaish aur is ke phelayo ko rokhna hai lekin is shobe par abhi tehqiq jari hai. Taham Bharat mein riwayati tareqe se alaj karne walon ka khene hai ke haldi ke andar bhoat si dawayon ki khososiyat pai jati hain.

16. Sabaz chai(Green tea)
Mumkin hai ke sabaz chai ko ab tak log wazan ghatane ke leye hi istemal karte rahe hon lekin ab ye khayal kia jata ha ke sabaz chai cancer ke phelao ko raokne mein bhi madad gar sabit hosakti hai.

17. Soya Been
Soya been ke andar kuch ajza ko ghudod aur chati ke cancer ko rokne mein muawin samjha jata hai. Cancer ke elawa soya been cholesterol aur blood pressure ke marizon ke leye bhi intehai mufid hai.

18. Tarboz(Watermelon)
Lycopene nami mukarab temater ke sath sath tarboz mein bhi paya jata hai. Ye murakab cancer se nimatne ke leye intehai mufid hai.

काली कलौंजी के फायदे

आज के समय में बालों की समस्या एक बहुत बड़ी समस्या बन चुकी है. चाहे वो महिला हो या पुरुष हर कोई बालों के झड़ने और बेजान हो जाने की समस्या से परेशान है.

इन समस्याओं के समाधान के लिए हम तरह-तरह की दवाइयों और केमिकल प्रोडक्ट्स का इस्तेमाल करते हैं लेकिन इनसे फायदा होगा, इस बात की गारंटी कोई नहीं दे सकता. साथ ही इन चीजों के इस्तेमाल कई तरह के साइड-इफेक्ट का भी खतरा बना रहता है.



अगर आपको भी ऐसी ही कोई समस्या है तो काली कलौंजी आपकी इन समस्याओं का रामबाण इलाज है. कलौंजी में कई आवश्यक लवण और पोषक तत्व होते हैं. आयरन, सोडियम, कैल्शियम, पोटैशियम और फाइबर से भरपूर कलौंजी कई प्रकार की बीमारियों को दूर करने में बहुत फायदेमंद है. इसमें कई तरह के अमीनो एसिड और प्रोटीन भी होते हैं.


बालों के लिए कलौजी का इस्तेमाल:
1. सिर पर 20 मिनट तक नींबू के रस से मसाज करने के बाद बालों को अच्छी तरह साफ कर लें. इसके बाद कलौंजी के तेल से बालों में अच्छी तरह मसाज करें. 15 मिनट तक बालों को इसी तरह छोड़ दें. इस प्रक्रिया को नियमित करने से बालों के गिरने की समस्या दूर हो जाती है.

2. कलौंजी का तेल में ऑलिव ऑयल और मेंहदी पाउडर को मिलाकर हल्का गर्म करें. जब यह मिश्रण ठंडा हो जाए तो इसे किसी शीशी में बंद करके रख दीजिए. इस तेल से सप्ताह में दो बार मसाज करने से गंजेपन की समस्या में राहत मिलती है.

3. कलौंजी की राख को ऑलिव ऑयल में मिलाकर मसाज करने से नए बाल आना शुरू हो जाएंगे.

कलौंजी के और भी कई फायदे हैं:

1. कलौंजी डायबिटीज से सुरक्षा देता है. साथ ही ये कील-मुंहासों की समस्याओं में भी राहत पहुंचाता है. कलौंजी का इस्तेमाल दिमागी क्षमता बढ़ाने के लिए भी किया जाता है. इसके अलावा कलौंजी अस्थमा और जोड़ों के दर्द में भी फायदेमंद होता है.

2. कलौंजी में पर्याप्त मात्रा में एंटी-आॅक्सीडेंट्स मौजूद होते हैं जो कैंसर जैसी बीमारी से सुरक्षा प्रदान करने में सहायक होते हैं.

3. अगर आपको कफ की समस्या है तो कलौंजी के तेल का इस्तेमाल आपके लिए बहुत फायदेमंद होगा.

4. इसके अलावा यह खून में विषाक्त पदार्थों को साफ करने का काम करता है. सुबह के समय खाली पेट इसका इस्तेमाल करना कहीं अधिक फायदेमंद होता है. हालांकि गर्भावस्था में कलौंजी के इस्तेमाल से बचना चाहिए, वरना गर्भपात होने की आशंका बढ़ जाती है.

यूं तो बाजार में भी कलौंजी का तेल मिल जाता है लेकिन इसे घर पर भी तैयार किया जा सकता है. हालांकि यह एक घरेलू उपाय है लेकिन फिर भी इसके इस्तेमाल से पूर्व चिकित्सक से परामर्श ले लें तो बेहतर रहेगा.

Khoon Badhane ka Aasan tarikha

  • Kishmish 

25/30 kismis savere garam pani me dho ke saaf kar lein aur fir usko kachche doodh me dubo dein. adhe ghante baad us doodh ko kismis sahit ubaal lo. fir isme se pahle kismis chun ke kha lein aur last me doodh pi jayein.. khoon badhane ke sath sath ye weakness, low blood pressure, liver me araam deta he.

  • Munakka-
Raat me 10/12 munakka dho kar pani me bhigo dein. 12 ghante ke baad munakka ke beej nikal kar khoob chaba chaba kar khayen. 2/3 week me khoon badh jayega. isko khane se khoon saaf hota he aur naak se bahne wala khoon bhi band ho jata he. Munakka pet aur lungs ke rogo me bhi labh deta he.

  • Angoor-

Angoor ka rass 25 gram, daily dono waqt khane k baad pi liya jaye to khoon to badhega he,, sath sath sir me hakkar aana aur digestion me bhi araam dega.