बालों को लम्बा करने का तरीका
- Methi dana ko piskar balo mai lagaye.
- Baalo mai hamesha natural cheeze lagaye.
- Week mai ek baar jaitun ka tel zarur lagaye.
- Pyaz ka ras balo mai lagane se bhi baal healthy hote hai.
- Amla bhi bahut faydemand hai baalo ko lamba or ghana karne ke liye. amla ke fayde
- Baalo ki massage karna ek bahut aham cheez hai baal lambe karne ke liye.
- Kela or nimbu ka ras milakar balo mai lagane se baalo ka jhadna bhi kam hota hai.
- Pehle to aap yeh dhyaan rakhe ke baalo ko dhoop mein jyada der tak expose na kare.
- Doosra, nariyal tel hamesha upyog kare. Tel lagaye rakhna pasand na ho to phir baal dhone ke ek ghante pehle garam nariyal tel ko scalp mein achi tarah massage kare aur baalo mein bhi rub kare.
- Ek doosra gharelu nuskha hai jo dadi ma ko priya hai. Who hai dahi. Dahi ho sake itne dino tak bahar rakhe taaki yeh bilkul khatti aur fermented ho jaye. Ise dry bal mein achi tarah maliye aur adhe ghante ke baad dho de.
- Baal dhone ke liye kabhi shampoo ka istemal na kare. Desi dadi maa ka gharelu nuskha hai ki aap ritha, shikakai, amla aur methi ko bhigo de, ubale aur us uble hue pani se baal dhoya kare.
- Baalo ko lackakdar, kale aur ghane banana ke liye methi ke daane ko bhigoye raat bhar aur subhe pis le aur ismein thodasa amla juice aur thodasa mehndi powder mila ke balo me lagaye aur ghante bhar ke baad dho dale.
- Chai achcha hair conditioner hair. Shikakai se dhone ke baad, chai ka paani (who paani jisme sirf chai patti ubala ho) aap ke baalo mein lagaye. Thoda sa instant coffee milane se baalo mein ek brownish glint aa jayega.
- Khurak mein nuts, fruits aur vegetables khaaye. Saath mein ek churna banaye amla powder, til aur brahmi powder mix karke. Khaane ke baad khaye to baal kale rahenge.
- Coconut yaane nariyal tel uttam hai baalo ke liye. Aap ismein til ka tel aur sarso ka tel aur thoda castor oil mix karenge to gun aur badh jayenge.
- Agar baal gir jaate hai ya to kudrati kam hai to inhe badhane ke liye yashtimadhu powder, kala mirch powder aur nimbu ke beej ka powder ko mix kare au rise onion juice mein mix karke baalo mein lagaye to baal ka bharpur growth hoga. (hair fall tips).
Baal badhane ka tarika : बाल बढ़ाने का तरीका
Mahilao ko baal badhane ka tarika, lambe balo ke liye gharelu nuskhe in hindi, balo ke liye ayurvedic upay, baal lambe karne ke gharelu nuskhe hindi me, baal lambe karne ka tarika in hindi janne mein khaas dischaspi hai to aap yeh prayog kare
- Aise to baal ugane ke upay anek hai magar sabse saral hai nariyal tel ka upyog. Raat ko sone ke pehle nariyal tel ko thodasa garam kare aur apne baalo ke jado mein achchi tarah se mal de. Savere aap baalo ko mild shampoo se dho le. Is prayog ek saptah mein teen baar avashya kare to baal kaale, ghane, mulayam aur chamkile ho jayenge. Yaad rahe ki baalo ko adhik garam paani se na dhoye. Dhone ke baad strong brush na kare balki pehle sukhne de. Dryer ka kam istemal kare.
- Har roj paushtik aahar le jin me ho iron aur vitamin B, K aur E.
- Coconut oil mein vitamin E aur B complex ka capsule milake baalo ke jado mein lagane se aur fayda hoga.
- Baalo ke jad mein achchi tarah maalish kare. Kam se kam 10 minute kare.
- Baalo ko shampoo se dhone ke badle aritha, shikakai aur amla se banaye kaadhe se dhoye to aur bhi achcha hoga. Baal dhone se pehle bilkul khatta dahi, fitkari aur haldi ka mishran laga ke rakhe.
- Har roj 2-3 litres paani jaroor peene ka rakhe.
- Raat ko methi dana bhigo de aur phir us ka paste banaye. Is paste ko baalo ke jad mein laga de.
- Baalo ko majboot karne ke liye paani aur chai ubale aur is paani ko baal dhone ke baad laga le.
- Baal dhone ke adhe ghante pehle fresh gavarpata (aloe vera) ke giri ko baalo mein achchi tarah mal de.
- Pyaj ko mixer mein paste banaye aur phir paani dale. Is paani ko chan le aur baalo mein lagale. Aisa karne se baal kaale, ghane aur majboot banenge. Yeh ek labhdayi baal ugane ka upay hai.
- Amla churna, brahmi churna aur til ka powder mix kare aur roj ek chamach khaaye.
- Winter mein fresh amla kharide aur is ka juice banake baalo mein laga le to baal lambe aur ghane banenge.
- Baal badhane ka tarika ek aur hai ki aap mehndi powder, amla juice aur dahi ka mishran bana ke baalo mein lagaye. Week mein 3 times yeh prayog kare.
- Ho sake to din mein 3-4 baar baalo mein kangi chalaye. Kangi chalate samay dabav de taaki scalp mein blood circulation badhe.
- Hibiscus (gudhal) ka phool aur patte baalo ke liye atyant upyogi hai. Is ka paste banake lagane se baal lambe honge aur naye baal bhi ugne lagenge. Baalo ko kaale karne ho to patte ka upyog kare. Gudhal ke phool ko kuchal kar nariyal tel mein halke aanch par garam kare aur yeh tel kayam prayog kare.
- Nariyal tel mein badam ka tel dale aur vitamin E capsules phod kar dal de aur is oil ko hair oil ki tarah use kare.
- Urad dal ka paste lagane se bhi baalo mein vriddhi hoti hai.
- Yashtimadhu aur kesar ka mishran bhi baal badhane ke liye behtreen upaay hai. Is se ganjapan bhi mit jayega.
Ganjapan roke
Badhti umar aur genetics ke karan mardo mein ganjapan aa jaata hai. Ise rokne ke liye balo ko jhadne se rokne ke upaay aur ganjepan se bachne ke upay try kare.
- Neem ke patto ka paste banake baalo mein lagaye. Ya to neem ke patto ko paani mein ubal kare apne baalo mein paani lagaye. Neem ka paste oil mein bhi ubal kar yeh tel baalo mein maalish kare.
- Baalo ko shampoo se dhone ke bajay aritha se dhone ka practice rakhe.
- Brahmi churna ka sevan kare aur is churna ko dahi mein mila ke sar pe maalish kare.
- Bhringraj ka tel ka upyog kare ya fresh patti ka paste baalo mein lagaye.
Baalo ko jhadne se roke
Aaj ke aadhunik lifestyle ke karan hair loss hota hai. Yahan bataye balo ko jhadne se rokne ke upay jaroor try kare to fayda hoga.
- Pakka kela le aur us ka paste banaye. Is paste mein nimbu ka ras mila le aur yeh paste baalo mein lagaye to jhadna bandh ho jayega.
- Hare dhaniya ko mixer mein paste banale aur is mein paani daal ke chaan le. Is paani ko baalo mein mal de. Yeh balo ko jhadne se rokne ke upaye mein se ek shresht upay hai.
- Pyaj ka paste ka upyog balo ko jhadne se rokne mein madad karega aur naye bal ko ugne mein madadroop hoga.
- Lehsun ka paste bhi asarkarak sabit hua hai baalo ko jhadne se rokne ke liye.
- Baal ko jhadne se rokne ke liye sadharan garam sarson ka tel ka baalo mein maalish kare.
Baalo se rusi kaise hataye
Dandruff yaane rusi ek jatil samasya hai jo baalo ko nuksan pahunchata hai aur khujli paida karta hai. Is ka safed powder bhi embarrassing hota hai. Baalo ki rusi ke upay kai hai. In mein se thode nuskhe baalo se rusi kaise hataye prashna ka jawab denge.
- Methi ke daane uttam hai aur sadiyo se jaane maane gharelu nuskhe for dandruff mein se ek aksir ilaj hai. 4-5 ghante bhigo ke rakhe aur is ka paste banake baalo ke jado aur scalp mein maalish kare. Ek ghante ke baad dho le.
- Nimbu ka ras arandi ke tel mein daal ke achchi tarah hila de. Yeh mishran ek behtreen bali ki rusi ka upay hai.
- Aloe vera (gavarpata) aur nimbu ka ras ka mishran baalo se rusi hatane mein madadroop hota hai.
Baalo ko kala kaise kare
Balo ki samasya jo aaj kal yuvano mein bhi dekhi jaati hai voh yeh hai ki akal hi baal safed ho jaate hai. Bal kaale karne ke liye gharelu nuskhe yeh hai:
- Kumari (aloe vera) ka ras, nimbu ka ras aur amla ka ras baalo mein lagane se baal kudrati tarike se kaale ho jayenge.
- Amla aur mehndi powder ko lohe ke bartan mein bhigo ke rakhe. Phir is ka lep baalo mein kare to bal apne aap kale ho jaayenge.
- Do chamach kali mirch ko paani mein khoob ubale. Is ubale hue paani ko thanda hone de aur phir baalo mein achchi tarah mal de to baal kaale hone lagenge.
- Desi gaay ka ghee baalo mein lagane se baal kudrati tarike se kaale honge. Kam se kam 2 baar ek saptah mein yeh prayog avashya kare. Gaay ka taaza, bina ubla hua doodh bhi baalo mein lagane se baal kale hone lagenge.
- Dahi ko 2-3 din bahar rehne de. Bilkul khatta ho jayega. Is mein mehndi powder mila ke ek ghante tak rehne de. Ab is paste ka mishran baalo mein lagaye.
- Kadhi patte ko paani mein ubale. Is paani ko baalo mein laga ke rakhe. Baal kale hone lagenge.
Do muhe baalo ka ilaj : बालो का इलाज
Baalo ko poshan na milne par ya laparvahi ki vajah se split ends hote hai. Do muhe baalo ka ilaj is prakar kare:
- Bilkul aasaan do muhe baalo ka ilaj hai ki aap apne baalo ke ends ko trim karte rahe.
- Dahi mein shahad mila ke baalo mein lagaye aur 20 minute ke baad dho le. Yeh do muhe baalo ka ilaj bahut asarkarak hai.
- Methi ka paste banake baalo mein lagane se do muhe balo ki samasya se aap ko hal milega.
- Halka garam tel (coconut ya arandi) se baalo ko maalish karne se do muhe baal banne se aap bach jaayenge.
- Bal dhone ke baa turant kangi na kare. Dhone ke baad jab kangi pasand kare to voh bade muh wali kangi hi le.
- Papita ka paste lagane se baalo ko poshan milega aur do muhe hone se bach jayenge.
- Pura anda ko thodas fet de aur nimbu ka ras mila ke baalo mein lagale to poshan milega aur do muhe baal ka ilaj bhi ho jayega.
- Dhoop mein ghoomna ho to pehle apne baalo ko dhak le.
No comments:
Post a Comment