Saturday, October 1, 2016

Chuninda Nuskhe

Baykhawabi Door karny ka Nuskha e Khaas
Zamana e kadeem main eska ilaj aam toor par piaz say kia jata tha. Es liay jis ko neind na ati ho wo kachi piaz chabba kar kha lay ya ublli hui piaz garm doodh main dal kar estmal kray khoob neind aaiy gi.

Bawaseer ka Aasaan Desi ilaj
Bhirr ka chatta jala kr raakh kr lain, 10g main rasowant 20g. Dono ko pees lain.
Khurrak: Channy kay braber aik goli pani kay sath estmal krn din main 2 bar.
Bawaseer say Shifa – Gharailu ilaj
Garmi ki waja say bawaseer ka marz shiddat akhtiar kr jata hay. Ap thori si multani mitti ka tokra lay kr mitti kay katory main bhigo dain aur subha hillay bagair oper wala pani pi lain. Chand bar ye amal krny say bawaseer khtam ho jaiy gi.
Garmi ki wajha se Sardard ka Ilaj
Garmi ki waja say sar dard ho ya neind na aati ho to gull banafasha 6 mashy, dhania kay beej 6 mashy pani main pees kar paishani par lagany say dard sar acha ho jata hay aur neind bhe aa jati hay. 

No comments:

Post a Comment